Raj Jab Sine Se Bahar Ho Gaya Apna Kahan Shayari – Hindi Shayari
Raj jab sine se bahar ho gaya apna kahan
Ret par bhikhre huye aansu utha sakte nahin,
Aadmi kya hai gujrate wakt ki tasveer hai
Jaane wale ko sada dekar bula sakte nahin,
Sahar mein rahte huye hamein jamana ho gaya
Koun rahta hai kahan kuchh bhi bata sakte nahin.
- Hindi Shayari