Saarey Waadon Ko Bhula Sakta Hun Shayari – Dard Shayari
Saarey waadon ko bhula sakta hun,
Lekin rehne do,
Main tumhein chor k ja sakta hun,
Lekin rehne do,
Tum jo har mord pe keh daiti ho khuda hafiz,
Faisla mein bhi suna sakta hun,
Lekin rehne do,
Tum ne jo baat ki dil ko dukhane wali,
Us per main muskura bhi sakta hun,
Lekin rehne do,
- Dard Shayari